Ye Dharti Sishkiyo Me Jab, Jara See Aah Leti Hain- Hello Friends Aj Me Apke Samne Miss. Amita Bhatt Dwara Likhi Ik Or Poem Show Karne Ja Raha Hu Jo Hamare Desh Ke Un Veer Jawano Ke Liye Dedicated Hai Jo Hamare Desh Ki Simao Par Khade Hokar Hamari Rakha Karte Hai Hamare Desh Ke Wo Veer Naujawan Waha Rato Ko Jagte hai Taaki Hum Apne Ghar Me Chain Se So Sake In Veer Jawano Ke Liye Miss. Amita Bhatt Dwara Likhi Gayi Ye Kavita Apko Bhi Jarur Pasand Ayegi.
“”Ye Dharti Sishkiyo Me Jab, Jara See Aah Leti Hain””
Ye Dharti Sishkiyo Me Jab, Jara See Aah Leti Hai.
Dhara Ke Naujawano Ko, Badi Parwah Rehti Hai.
Yu Fir Tainat Hote Hai, Wo Pal Me Uth Khade Hokar.
Ke Dushman Jab Kare Hamla, To Pehla Vaar Ho Unpar.
Chamak Ankho Me Lekar Ke, Wo Maida Me Aate Hai.
Dahaadey Sher Ki Sunkar, Virodhi Kaamp Jate Hai.
Hua Hai Yuddh Jis Pal Bhi, Virodhi Fauj Se Unka.
To Har Ik Vaar Par Unke, Kata Hai Seesh Dushman Ka.
Achanak Lag Gayi Goli, Vatan Ke Sher Ko Us Pal.
Baha Jo Khoon Seene Se, Wo Fauji Ho Gaya Ghayal.
Kadam Do Chal Gira Wo Fir, Magar Hathiyar Na Dale.
Dilo Me Josh Bharte Hai, Yahi Bharat Ke Rakhwale.
Bina Soche Ke Ik Din Ye, Jindgi Ka Aakhiri Hoga.
Wo Ladta He Gaya Jang Ki, Tirange Ka Kafan Hoga.
Jara Afsos Ankho Me, Yahi Bas Sochke To Tha.
Ki Das Sir Or Kat Girte, Agar Kuch Or Pal Jeeta.
Jawano Ke Yahi Andaaz Hume Loha Banate Hai !
Bata Ke Lakshya Jeewan Ka Vatan Premi Banate Hai !
Bada He Garv Hota Hai, Unhe Is Bat Par Ki Wo.
Kabhi Marte Nahi Balki, Wo Aksar Yaad Ate Hai.
Wo Antim Pal Saheedo Ke, Bade He Khaas Hote Hai.
Ke Bas Jay Hind ! Kehkar Ke Wo Fir Khamosh Hote Hai.
Jo Tattpar Hai Vatan Se, Har Kiya Vada Nibhate Hai.
Naman Karte Hai Hum Dil Se, Unhi Fauji Jawano Ko.
Also Read.
- Hack Facebook Account Recover Kaise Kare.
- Voter ID Card Me Name Or Address Kaise Sahi Kare.
- Instagram Account Hack Kaise Kare.
- Mobile Root Kaise Kare.
awsome, very nice poem
thanks for reading.
HEART TOUCHING
thanks.
VERY NICE
thanks for reading.
Bhai is post me bahut hi dum hai mja aa gya Thank you Bhai
thanks for reading deepak rathor jee.
Super thoughtful article thanks for information and inspiring us
Safe Netbanking केसे करे ? ।। 10 आसान तरीके