Jio Mobile Number Call Details Kaise Nikale My Jio App Se ? Ik Aise Query Ban Gayi Hai Jise Har-Ek Jio Mobile Users Solve Karne Me Rehta Hai Kisi-Kisi Mobile User Ke Liye Call Detail Bahut He Jyada Important Hoti Hai Or Wo Apni Call Detail Ko Safe Rakhne Chahta Hai.
Jio Telecom Services Ke Launch Hote He Bahut Sare Customer Jio Se Jud Gaye The Is Samay Jio Ke Lagbhag 150 Crore Customer Hai Jio Ne Starting Se Acchi Or Sasti Internet Or Telecom Services Apne Customers Ko Di Hai Yehi Karan Hai Ki Jio Ke Customer Har Din Badhte He Ja Rahe Hai (Why Jio).
Jio Mobile Number Call Details Kaise Nikalte Hai Bahut He Visitors Ne Mujhse Ye Sawal Kiya Hai Isliye Aj Me Ye Article Apke Samne Post Kar Raha Hai.
Kai Bar Hamare Samne Aise Position Aa Jati Hai Jab Hume Dusre Logo Ki Call Detail Ya Call Detail Record Nikalne Ki Jarurat Pad Jati Hai Call Detail Nikalne Ka Karan Kuch Bhi Ho Sakta Hai But Hum Call Details Nikalne Ke Liye Sidhe Apni Sim Provider Company Me Customer Care Ko Phone Karke Hai.
Par Fir Bhi Hume Kuch Rear Cases Me He Safalta Haat Lagti Hai Kyoki Koi Bhi Telecom Company Kisi Bhi Mobile Number Ki Call Detail Aise He Nikal Kar Nahi Deti Yani Telecom Company Se Call Detail Nikalwane Ke Liye Apko Kaafi Papad Belne Pad Sakte Hai.
But Kya Ap Jante Hai Ap Ik Myjio Android App Ki Madad Se Kisi Ke Bhi Jio Mobile Number Ki Call Details Asani Se Minutes Me Hi Nikal Sakte Hai Is Post Me Ap Yehi Janenge Jio Mobile Number Ki Call Detail Kaise Nikalte Hai.
Jio Number Call Detail Nikalna Bahut He Asan Hai Isske Liye Apko Sirf My Jio App Ko Apne Android Phone Me Install Karna Hai Fir Ap Jio Call Details Nikal Sakte Hai.
To Chaliye Friends Hum Apni Is Post Ko Ke Main Topic Ko Start Karte Hai Or Jante Hai Jio Mobile Number Call Details Kaise Nikale.
Jio Mobile Number Call Details Kaise Nikale
Jio Mobile Number Call Details Nikalne Ke Liye Apke Pass 4g Supported Mobile Phone Hona Chahiye Or Us Mobile Me Apki Wo Jio Sim Honi Chahiye Jiski Ap Call Detail Nikalna Chahte Hai.
1. Sabse Pehle Apko Apne Mobile Phone Me My Jio App Ko Install Karna Hai Or Use Open Karna Hai.
2. App Ke Open Hone Or Sim Dwara Login Hone Ke Apko Left Side Me Dikhayi De Rahi Teen Lines (Menu Icon) Par Click Karna Hai Or Fir My Statement Par Click Karna Hai.
3. My Statement Me Apko One Month Ka Period Select Karna Hai Kyoki Ap Ik Bar Me Ik Month Ka He Statement Nikal Sakte Hai Call Detail Perid Select Karne Ke Bad Apko View Par Click Kar Dena Hai.
4. Fir Ap Next Page Par Pahuch Jayenge Yaha Par Ap Sim Details Online Dekh Sakte Hai Statement Download Karne Ke Liye Apko Right Side Me Dikhayi De Rahe Download Ke Icon Par Click Karna Hai.
5. Download Icon Par Click Karne Ke Bad Apke Samne Ik Pop-Up Window Show Hogi Jisme Do Option Honge.
- Download Statement.
- E-Mail Statement.
1. Download Statement : Agar Ap Apne Jio Number Ki Call History Online Apne Phone Me Download Karne Chahte Hai To Ap Download Statement Par Click Karke Kar Sakte Hai.
- Android Phone Me Software Kaise Dalte Hai ?
- Best Android Games Konse Hai Or Inhe Kaise Download Kare ?
2 E-Mail Statement : Agar Ap Statement Apni Kisi Email Id Par Bhejna Chahte Hai To Apko E-Mail Statement Par Click Karna Hai Or Fir Apke Samne Jo Pop-Up Window Open Hogi Usme E-Mail Id Ko Dalna Hai Or Fir Ok Par Click Kar Dena Hai Apka Jio Statement Apki E-Mail Id Par Pahuch Jayega.
Is Tarhe Ap Apni Jio Mobile Number Call Detail Bahut He Asani Se Myjio App Ko Apne Android Phone Me Install Karke Nikal Sakte Hai.
Apko Hamari Ye Post “Jio Mobile Number Call Details Kaise Nikate Hai My Jio App Se” Kaise Lagi Hume Jarur Bataye Comments Karke Hamari Latest Posts Ki Jankari Apne Email Par Pane Ke Liye Hume Apne E-Mail Par Subscribe Jarur Kare.
Jio me kam karna hi
isme to kewal recharge aur plan detail aata hai, call details kaise aayeg
ap step follow kijiye jarur ayega.
Bahut badhiya jankari di hai sir
Bhai, hamare kaam nai kiya, kya gadbad hogi??
kya kaam nahi kiya.