Hello friends kya aap jante hai hum image ke piche bhi application, songs, videos, or other file ko chupa sakte hai agar nahi jante to es post ko pura padhe aap bhi jaan jayenge, aaj ke hamari post es topic par hai ke image ke piche file ko kaise chupate hai.
Friends bahut se files aise hoti hai jinhe hum dusre logo ko dikhana nahi chahte yani hum unhe apne computer me chupakar rakhna chahte hai eske liye hum lock software ka use karte hai par agar aap bina lock software ke apni file ko chupana chahte hai wo bhi kisi image ke piche wo bhi aap kar sakte hai ye idea files ko lock karne se to accha he hai.
File ko kisi image ke piche chupane ke liye aapko koi software bhi download nahi karna hai aapko bas command prompt yani cmd yani dos me 2 command ko run karna hai or aapki file image ke piche chup jaayegi to chaliye friends jante hai file ko image ke piche kaise hide karte hai yani chupate hai.
Image ke piche file ko kaise chupate hai ?
Agar aapne uper diye teeno tasks complete kar liye hai to chaliye ab jante hai image ke piche file ko kaise chupate hai.
Image ke piche chupe file ko kaise dekhte hai ?
Image ke piche chupi file ko dekhne ke liye aapko winrar application ko open karna hai or apni image ko usme drag kar dena hai yani apni image ko mouse ke help se uthakar winrar me chhod dena hai aapki image file open ho jayegi.
I hope aap log samajh gaye honge hum image ke piche file ko kaise chupate hai agar abhi bhi aapko kahi par kuch samajh na aaya ho ya aap kuch puchna chahte ho es post se related to aap comment kar sakte hai meri post ko padhne ke liye aapka thanks.
Aapko ye post kaisi lagi hume jarur bataye comment karke or agar aapko hamari post pasand aayi to please ese social sites par share kare hamari future posts ki jaankari pane ke liye hume subscribe kare email se facebook par humse judne ke liye hamare facebook page ko like kare.